Apni raftar se guzar Rahi hai , Zindagi.
Ya hum guzar rahe hai, samjh Nahi aata.
Waqt badalta hai,
Log kyu badl jate Hain, samjh Nahi aata.
Raat guzar jaygi tumhari yaado ke shahre.
Ya mein hi guzar dunga, samjh nhi aata.
Har pal Yaad aate ho tum.
Ya mein Yaad karta Hun, samjh Nahi aata.
Juda ho gye hum tum.
Jab bichadna hi tha ,to mile kyun the,
Samjh Nahi aata.
Waqt ki raftar bhi tez hai , zindagi main.
Hum kis raftar se chalen, samjh Nahi aata...!!