Maanti hu mai buri hu

Maanti hu mai buri hu,
par kbhi kisi ka dil nhi todi,

maanti hu mai buri hu.
par kbhi kisi ko dhoka nhi di.

maanti hu mai buri hu.
Par kbhi kisi ki aankhon me aansu nhi laayi.

maanti hu mai buri hu,
Par kisi ko takleef nhi di.

maanti hu mai buri hu...

Rukhsar By : Rukhsar

Dukh Poetry Views - 563 22nd Jan 2020

Ek yaad puraani hai

Teri meri jo baate hai,
Wo abb ek yaad puraani hai!
Raaho par jo aage chalu,
Uss ek modd par ek yaad puraani hai!

Kuch haste- kuch muskurate kisse thee,
Jinki abb chaahat hai Mujhe,
Wo abb ek yaad puraani hai!

Tumse milne ka jo intzaar tha,
Tumse milte hi jo khushi thi,
Wo abb ek yaad puraani hai!

Kabhi jo teri zarurat thi,
Kabhi jo teri  chaahat thi,
Aur Kabhi jo tumse mohabbat thi,
Wo abb ek yaad puraani hai...

Wo abb ek yaad puraani hai!!

Hetal Rajpurohit By : Hetal Rajpurohit

Dukh Poetry Views - 521 21st Jan 2020

Kya hoga

Kisi ko taktaki laga Kar taadne se Kya hoga,
kisi ko dekh Kar aankhe faadne se kya hoga,
 
jise fikar hi nahi humare marne or jeene ki,
uske waste tabiyat bigaadne se Kya hoga,
 
wapas mile ho to baate bhi nayi nayi karna,
fir wahi gade murde ukhadne se Kya hoga,
 
kuch banna hai to kuch karke bhi dikhana padta hai,
ye muh chala Kar bas baate jhaadne se kya hoga...!

Jami Ansari By : Jami Ansari

Paigaam Shayari Views - 413 21st Jan 2020

Kyaa ho tum

Raat ka adhura khayal ho tum,
Ya Sayad subah ka uljha sawal ho tum,
Zindagi ki dagar par aage chalu jo mai,
Toh sayad iss safar ka mukaam ho tum!

Thak kar baith jaane par,
Manzil ke aa jaane ka ishaara ho tum,
Bitti yaadon ke yaad aa jaane par,
Sayad fir laut kar aane ka paigaam ho tum!

Baalo mein uss pehli-si chuan ka ehsaas ho tum,
Sayad mere har dard ki dawa ho tum,
Ya fir, meri kahani ka adhura-sa kissaa ho tum,
Aur jo paa kar bhi naa paa saki mai,

Wo adhuri si meri mohabbat ka hissaa ho tum..!!

Hetal Rajpurohit By : Hetal Rajpurohit

Mohabbat Shayari Views - 468 21st Jan 2020

Ek yaar banaya

Hazaaron log mile tab jakar ek yaar banaya,
fir mene us hi shakhs se apna pyar banaya,
 
usse jab bhi milta hu gale lag lag kar milta hu,
har mahine khud ke liye alag tyohaar banaya,
 
kapde chhat par failane tanha hi aaya karti thi,
fir mene apni chhat par bhi kapdo ka ek taar banaya...!

Jami Ansari By : Jami Ansari

Romantic Shayari Views - 428 21st Jan 2020
About Us
Bepanaah.in is a feeling that is very attached to our life. Like unbridled joy, unbridled pain, unbridled love. this website important for those pepole who love to write, who express own feelings. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Bepanaah.in
Follow Us
Facebook Likes

© Copyright 2020-24 bepanaah.in All Rights Reserved