Tune kiya

Ye kesa jadu nigah-e-yaar tune kiya,
dil ke qaraar ko mere be-qaraar tune kiya,

me bhikhari tha mohabbat ka baadshah bana kar mujh ko,
utha ke zameen se palkon pe sawaar tune kiya,

teri is adaa ke sadke khairaat baant du zamane me,
jitna pyar mene kiya utna hi pyar tune kiya,

meri aankhe hayaa se jhuk rahi thi uth rahi thi magar,
mila ke aankho se aankho ko chaar tune kiya,

duniya ujad chuki thi sukhe darakht ki manind,
dil ke bagiche me JAMI bahaar tune kiya.

Jami Ansari By : Jami Ansari

Mohabbat Shayari Views - 408 3rd Feb 2020

Din purane yaad aaye

Bachpan ke wo din purane yaad aaye.
beete hue or guzre zamane yaad aaye.
 
raja mantri chor sipahi or kanche.
aise the Jo khel purane yaad aaye.
 
chori chori chupke chupke apno ke.
baagh me jakar fal churane yaad aaye.
 
kya ameeri thi us bachpan ke pani me.
kagaz ke kuch jahaz bahane yaad aaye.
 
jaha guzarte the hum sabke har ek pal.
JAMI humko sare thikane yaad aaye...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Bachpan Shayari Views - 555 30th Jan 2020

Mohabbat woh karti bhi hai

Yeh jo basa liya h ghar
Tumne us Anjaan shakhs k sath,

Kya bhooke hone pr woh tumhein.
Apne haath se khana khilati bhi hai?

Ho jaate ho jo naraaz usse baaton baaton me,
Meri trah har nakaam koshish krke....
Woh tumhein manati bhi hai?

Tumhari ek awaz par
Har ek kaam chord kr chali aati mai,
Kya woh apni masroofiyat k aalam me
Tumhein waqt de paati bhi hai?

Jab ho jaati h tumhari
Aankhein nam kisi baat par
Kya meri hi trah apni baahon me bhar kr,
Tumhare har ek aansu peeti bhi hai?

Ek teri mohabbat me
Bhul baithi thi mai saare jahaan ko,
Kya usi shiddat se tumse mohabbat woh krti bhi hai?

Rukhsar By : Rukhsar

Dhoka Shayari Views - 420 24th Jan 2020

Humrahi nahi parchai ban jao

मैं ये तो नहीं कहता हमराही बन जाओ,
हाँ साथ चलकर मेरी परछाई बन जाओ। 

घर करलो मेरे दिल में अपना,
राज ऐसा के तानाशाही बन जाओ। 

जरूरी नहीं तुम भी मोहब्बत करो मुझसे,
बस मेरे इश्क की गवाही बन जाओ। 

रिक्त है पद मेरे प्यार की सरहद पर,
तुम वहाँ निपुण सिपाही बन जाओ। 

मन गर तुम्हारा उलझन में है,
मेरी ख़ातिर उसे धराशायी कर जाओ। 

Satish Nautiyal By : Satish Nautiyal

Hindi Poetry Views - 473 22nd Jan 2020

Kya rakha hai

jo bigaad de javani us mazedari me kya rakha hai,
thode to bewafa bano wafadari me kya rakha hai,
 
jo palkon pe bithaye hume yaar aisa chahiye,
ye melon ke jhule, ghud-sawari me kya rakha hai,
 
dukh, dard, tanhaai, ruswai aur aansu JAMI,
pata to karo khol ke almaari me kya rakha hai...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Paigaam Shayari Views - 511 22nd Jan 2020
About Us
Bepanaah.in is a feeling that is very attached to our life. Like unbridled joy, unbridled pain, unbridled love. this website important for those pepole who love to write, who express own feelings. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Bepanaah.in
Follow Us
Facebook Likes

© Copyright 2020-24 bepanaah.in All Rights Reserved