jo bigaad de javani us mazedari me kya rakha hai,
thode to bewafa bano wafadari me kya rakha hai,
jo palkon pe bithaye hume yaar aisa chahiye,
ye melon ke jhule, ghud-sawari me kya rakha hai,
dukh, dard, tanhaai, ruswai aur aansu JAMI,
pata to karo khol ke almaari me kya rakha hai...
