Tere na hone se meri zindagi berang h....

Ye mana har jagh rang hi rang hai,
magar tere bin meri zindagi berang hai,

kahi hongi khushiyan beshumar, Kahi tanhayia barsengi,
koi bheeg Raha h barish me to Kahi aankhe chhalkengi,

jaanti hu tu aa nahi sakta hai,
bahut si majburiya tere sang hai,
Magr es Dil me utar ke dekh,
tum bin meri zindagi berang hai,

kahi sawan ki bunde barsengi,
tere na aane se meri aankhe har pal tarasegi,

tere na hone se bhi rang hai,
bas meri zindagi berang hai...

Pari Mishra By : Pari Mishra

Tanhai Shayari Views - 667 15th Jul 2020

Baithi hui hai

मेरे कांधो पे मेरी तन्हाई बैठी हुई है,
एक ख्वाहिश लुटी लुटाई बैठी हुई है,
 
एक मैं जो उसकी खातिर लड़ रहा हूं,
एक वो जो कर के सगाई बैठी हुई है,
 
मैं तो उसको मना रहा हूं, लेकिन मगर वो
कितनी बातें दिल से लगाई बैठी हुई है,
 
झांकने देती नहीं है किसी को दिल में,
वो इस तरह दिल में समाई बैठी हुई है,
 
सर पे जामी चढ़ी हुई है कुछ इस तरह से,
चाय पर जैसे मलाई बैठी हुई है..!

Jami Ansari By : Jami Ansari

Zindagi Shayari Views - 688 11th Jul 2020

Mere khuda

Dekh lu fir se haseen yaar ke chehre ko,
mere khuda puri tu dil ki ye hasrat kar de,

na roothu kisi se aur na kabhi jhagdu kisi se,
door dil se humesha ke liye nafrat kar de,

sula le mujhe fir se apne kadmo me aye MAA,
meri bekar si zindagi ko tu jannat kar de,

lag jayen gale roothe hue bhai se bhai ek din,
unke dilon me paida kuch aisi mohabbat kar de,

me use chahta hu aur chahta hee rahunga,
bas dua hai use tu meri amaanat kar de...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Dua Shayari Views - 686 9th Jul 2020

Ruk jao na

रूक जाओ ना,
यूं दिल तोड़ कर ना जाओ ना,

तुमने तो वादा किया था
ज़िन्दगी भर का साथ निभाने का
उस वादे को पूरा कर दो ना
रुक जाओ ना.!

देखो , मैं मर जाऊंगी, तुम्हारे बग़ैर,
मुझे मौत के करीब ना करो ना.!

रुक जाओ ना, रुक जाओ ना..!

Rushda Sadaf By : Rushda Sadaf

Judaii Poetry Views - 1231 9th Jul 2020

Humari kahaani

na pucho hum se humari ky kahaani hai,
bas baat yun hai ke kismet ne humari dua na mani hai,

yun toh bhut khushgawar zindagi humari hai,
jo chaha tha wo na mila is mai galti thodi na humari hai,

jisne chaha usse mil gaye hum ye toh uski mehrbaani hai,
na pucho hum se humari ky kahaani hai,

bas kismet ke mare hai aur yahi humari zindagani hai..!

Ammara Khan By : Ammara Khan

Zindagi Shayari Views - 485 9th Jul 2020
About Us
Bepanaah.in is a feeling that is very attached to our life. Like unbridled joy, unbridled pain, unbridled love. this website important for those pepole who love to write, who express own feelings. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Bepanaah.in
Follow Us
Facebook Likes

© Copyright 2020-24 bepanaah.in All Rights Reserved