Puar ka khel

Har koi aata hai, zaroorat ke hisab se,
Fir badal jata hai barf me vo aab se,

Khelte rahte hai jazbat se mere,
Dil tod ke chal dete hai fir tadak se,

Apne waqt ke hisab se deta hai har koi dastak,
Darwaza kholu to bhag jate hai japak se,

Main khilona nahi hu, Insan hi hu,
Pyar milta hai magar pyar ke hisab se,

Itni taqlifo ke bawzood muze nafrat nahi,
Par dard muze bhi hota hai pyar ke mazak se,

Is bar jo aao to, soch kar hi aana,
Thode sukoon se, thoda lihaz se...

Mohammad Aarif By : Mohammad Aarif

Dard Shayari Views - 571 8th Sep 2020

Dar lagta hai

Veera'n veera'n sa sara shahar lagta hai,
Tanha raaho se aaj bhi dar lagta hai,

Jab bhi hoti hai sham aur me tanha,
Halki aahat se bhi Ye Dil Sinhar uthta hai,

Kisi ne jela bachpan me, kisi ne jawani to budhapa me,
Vo haiwaniyat ka khel insaniyat ka zahar lagta hai.

Kitni asani se bach nikalte hai darinde giraft se, 
kabhi kabhi adalat bhi gunahgaro ka ghar lagta hai,

fir bhi ungliya uthti hai, mujh hi par, mere pahnave par,
ye dogli aur dakiyanusi soch ka asar lagta hai,

har koi pareshan hai beemari, toofano aur barish se,
ye shayad usi bat par qudrat ka Qahar lagta hai...

Mohammad Aarif By : Mohammad Aarif

Paigaam Shayari Views - 328 8th Sep 2020

Hatho me hath rahe

Kash fir se hatho me tera hath rahe,
Na muqammal hi sahi, par bat rahe,

Hazar galat fahmiyo ke bawzood veeran na ho,
Ye dil hamara hamesha pyar se abad rahe,

Dooriyo ko faslo me na tabdil hone dena,
Zindagi ka kya bharosa, kitne din sath rahe,

Gile Shikwe kah dena behtar hai chupana nahi,
Jis bahane se bhi rahe bas talluqat rahe,

Wafa par shaq tumhara khud se utha yaqeen hai,
Andhere kitne bhi ho bas jalta chirag rahe,

Maaji se koi shikayat nahi, na kal ki hai parwah,
Bas sukoon me lipta Aarif mera aaj rahe...

Mohammad Aarif By : Mohammad Aarif

Mohabbat Shayari Views - 720 3rd Sep 2020

Kabhi mil jao na humko

कभी मिल जाओ ना हमको ,बहुत सी बात करनी है,
मेरी चाहत की तुमसे एक दरखास्त  करनी है,

सुनो तुम दूर हो और बहुत अनजान हो हमसे, 
कभी मोहलत  तो दो हमको ज़रा-सी पहचान करनी है,
मेरे जज़्बात मेरे एहसास की तुम से एक फरियाद करनी,
अगर दे दो हमे मौका  तो एक गलती सरे-आम करनी है!

तुम्हे मिलकर जताना है, तुम्हे ही प्यार करते है तुम्हे ही याद करते हैं,
कभी मिल जाओ ना हमको, बस यही सवाल करते है..!

Ammara Khan By : Ammara Khan

Paigaam Shayari Views - 780 2nd Sep 2020

Afsos Nahi karte

अफसोस नहीं करते,
किसी के बिछड़ जाने का,

वक़्त सबका आता है,
अपने आप को दिखाने का,

और , जिसे कभी प्यार ही नहीं तुमसे,
उसकी तस्वीर को क्यों सीने से लगाने का,

जो होना ही नहीं चाहता तुम्हारा,
उससे क्यों दिल लगाने का,

जाना चाहता है वो, शौक से जाए,
जाने वाले को अब क्यों रोकने का..!

Rushda Sadaf By : Rushda Sadaf

Zindagi Shayari Views - 591 29th Aug 2020
About Us
Bepanaah.in is a feeling that is very attached to our life. Like unbridled joy, unbridled pain, unbridled love. this website important for those pepole who love to write, who express own feelings. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Bepanaah.in
Follow Us
Facebook Likes

© Copyright 2020-24 bepanaah.in All Rights Reserved