Veera'n veera'n sa sara shahar lagta hai,
Tanha raaho se aaj bhi dar lagta hai,
Jab bhi hoti hai sham aur me tanha,
Halki aahat se bhi Ye Dil Sinhar uthta hai,
Kisi ne jela bachpan me, kisi ne jawani to budhapa me,
Vo haiwaniyat ka khel insaniyat ka zahar lagta hai.
Kitni asani se bach nikalte hai darinde giraft se,
kabhi kabhi adalat bhi gunahgaro ka ghar lagta hai,
fir bhi ungliya uthti hai, mujh hi par, mere pahnave par,
ye dogli aur dakiyanusi soch ka asar lagta hai,
har koi pareshan hai beemari, toofano aur barish se,
ye shayad usi bat par qudrat ka Qahar lagta hai...
Dar lagta hai
By : Mohammad Aarif
Follow on Instagram
aarif6620
Paigaam Shayari
Views - 205
8th Sep 2020