Toot gaya

Ek dhaga tha pyar ka mere, chand uljhan me toot gaya,
ek ped tha saalon ka pyasa, par sawan me toot gaya,
 
Kuch logo ke dil hain patthar jo todne se bhi na toote,
ek rishta tha mera unse bas anban me toot gaya,
 
ek ped tha thoda hara bhara sa fal dete dete thak kar,
laga hua tha jo barso se mere aangan me toot gaya,
 
nazuk sa tha thoda sa bandha hua tha pairo se,
mera dil tha payal sa bas chan-chan me toot gaya,
 
umeed, bharosa, khwab, haqikat, or kuch duniya ki chizen,
bacha na kuch ab JAMI ke paas sab jeevan me toot gaya...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Dard Shayari Views - 791 10th Apr 2020

Betiyaan

Kitna mushkil hota hai Safar betiyon ka,
apna ghar bhi nahi hota ghar betiyon ka,
 
wo Insan ki shaqal me rehmat khuda ki hai,
hara bhara hota hai shajar betiyon ka,
 
Badi bad-naseebi, bad-qismati hoti hai waha,
Jaha paida hone ka hota hai dar betiyon ka,
 
zindagi bhar na rahegi shikayat tujhko,
Jo dekh le khuloos bas ek nazar betiyon ka,
 
Jo luta deti hain sab kisi ke bete par JAMI,
dekho kitna mazboot hota hai Jigar betiyon ka...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Paigaam Shayari Views - 861 6th Apr 2020

kya tab lagakar labon se mujhe apne shaam koi bitaoge tum

सुनते तुम्हारी धड़कने वक़्त लिपट ही ना जाऊं तुम्हारी रूह से कहीं,
क्या तब फैलाकर बाहें मुझे अपने दिल में बसाओगे तुम.?

तकते तुम्हारी आंखों में अगर आशीयाना बनाने वहीं जाऊं कहीं,
क्या तब बिठाकर पलको में मुझे अपनी बनाओगे तुम.?

लड़ते तुम्हारी उंगलियों से थक कर जब रुक जाऊं कहीं,
क्या तब उलझाकर सासो में मुझे बताओगे तुम.?

समेटते तुम्हारी ख्वाहिशें अगर खुद से मुकर भी जाऊं कहीं,
क्या तब लगाकर लबो से मुझे अपनी शाम कोई बिताओगे तुम.?

Darshana... By : Darshana...

Romantic Shayari Views - 646 4th Apr 2020

Tum itna Karna zarur

Agr mil jaye wo kahi to muzse milana zarur,
Mere intezar ke kisse use sunana zarur, 

na mane agr fir bhi to use samjhana zarur,
agar ruth jaye kabhi muzse to trf se tum use manana zarur, 

kabhi puchhe mere baareme to batana zarur,
Ho udas agr kabhi kisi baat se to batakr mere kisse usse hasana zarur,

bikhare kabhi meri yaad me agar to tum use sawarna zarur,
baith kr akele uljha kisi baat se to mere naam se use pukarna zarur,

ho mayus kabhi meri kami par to tum use rijhaana zarur,
kare mujhe yaad tumhara dil agr to tum mujhe dohrana zarur...

Darshana... By : Darshana...

Hindi Poetry Views - 676 2nd Apr 2020

Paas aakar baithiye

Aaiye kuch der humare paas aakar baithiye,
mujh se apni ye nasheeli aankh mila kar baithiye,
 
kyu khade ho pair dard karne lgenge aapke,
baithiye kaandhe se apna kandha laga kar baithiye,
 
aise na muh modiye baat to meri suno,
baith jaiye paas chahe muh fula kar baithiye,
 
tum agar karna chaho sair-e-jannat to miyaan,
apni maan ke roz roz paon daba kar baithiye,
 
itni kya naarazgi itna bhi kya roothna,
JAMI aap aa jaiye paas aakar baithiye...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Ishq Shayari Views - 519 1st Apr 2020
About Us
Bepanaah.in is a feeling that is very attached to our life. Like unbridled joy, unbridled pain, unbridled love. this website important for those pepole who love to write, who express own feelings. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Bepanaah.in
Follow Us
Facebook Likes

© Copyright 2020-24 bepanaah.in All Rights Reserved