Tum mil jate ho

जब खुशियों की बारिश बेमौसम गरजती है,
खोलकर बाहे अपनी भीगते हुए,
तुम मिल जाते हो !

सज कर जब में खुद को संवारते देखना चाहती हूं,
सच कहूं तो वो आइनेके पीछे बैठ मुस्कुराते,
तुम मिल जाते हो !

थक कर में जब खुद की ही तलाशमे निकलती हूं,
बेचैन हो कर परेशान मेरे सफरमे,
तुम मिल जाते हो !

और बेताक छोड़ अपने जिस्मको जब में आराम तलाशती हूं,
मेरे ही ख़यालो में उलझकर बैठे,
तुम मिल जाते हो ! 

इश्क़ का दावा करते जब अपने लबों से लगाया करती हूं,
बन कर सुकून मेरी चाय के आखिर,
तुम मिल जाते हो !

Darshana... By : Darshana...

Nazm Shayari Views - 800 31st Mar 2020

Lamha

yun zindagaani ko humne lamhe lamhe mein jiya hai,
kareeb se kabhi faasle se kabhi bedili se jiya hai,

aapke zikr par aisa taariifon ka silsila hua,
yeh kaisa asar aapne zamaane par kar diya hai,

piya humse na toh izhaar na hi ikraar ho paayega,
par bakhuda aapse mohabbat beintiha kiya hai,

phir bhi yeh mohabbat yeh deewaangi ek din toh dhal jaayegi,
aap woh lamha rah jaayenge jisey bandagi se jiya hai...

Farishta Samal By : Farishta Samal

Romantic Shayari Views - 637 31st Mar 2020

Aankh bhar aayi hai

Sab door door Hain ek duje se,
na jane ye kesi ghadi aayi hai,
 
ek samndar hai bimaari ka,
jisme kashti dag-magai hai,
 
kaale saaye se dar gaya me,
Jabki wo meri hi parchai hai،
 
dil se pucha to jawab aaya,
Ishq se behtar tanhaai hai,
 
dekh ke manzar is duniya ka,
aankh JAMI ki bhar aayi hai...

Jami Ansari By : Jami Ansari

Zamaana Shayari Views - 785 31st Mar 2020

Haste hain log

Me gamzada mere haal pe haste hain log,
mere chehre ke rang-o-jamaal pe haste hain log,

raat me sone se pehle subah ko uthne ke baad,
mere zehan me aaye hue tere khayal pe haste hain log,
 
chand ke qadmo tale raat ki tanhai me,
tumse mene kiya the jo bhi us sawal pe haste hain log,

tere gham me jo piye the JAMI sharab ke chand ghunt,
lad-khadate qadmo wali meri chaal pe haste hain log,

Jami Ansari By : Jami Ansari

Dukh Poetry Views - 730 28th Mar 2020

Woh humaare sheron mein rahne ke kaabil nahin hai

Woh humaare sheron mein rahne ke kaabil nahin hai,
jinki wafa khuda ki rehmat se haasil nahin hai,

chamakta suuraj bhi simat jaata hai kaali raat mein,
unko dil se bhula dena utna mushqil nahin hai 

duniya mein kitne raah kitne rehguzar aur bhi hai,
jaan le ai dil unke mod par teri manzil nahin hai,

unki yaad mitaane ke liye yeh ghazal bhi kah di,
phir kyun unki maujoodgi se yeh dil ghaafil nahin hai...

Farishta Samal By : Farishta Samal

Bewafa Shayari Views - 680 28th Mar 2020
About Us
Bepanaah.in is a feeling that is very attached to our life. Like unbridled joy, unbridled pain, unbridled love. this website important for those pepole who love to write, who express own feelings. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Bepanaah.in
Follow Us
Facebook Likes

© Copyright 2020-24 bepanaah.in All Rights Reserved