Unchi uthti hui balkhati lehar se nikalna hoga,
tinke ke sahare samandar se nikalna hoga,
manta hu raste mushkil hain manzil ke magar,
aahista har raste sabar se nikalna hoga.
tuti tasveer, bikhri yaadein iske alawa kuch nahi,
apne dil ke char-marate khandhar se nikalna hoga.
yun sirf likhne se JAMI naam nahi hone wala,
naam banana hai to fir ghar se nikalna hoga...
