Kuch baatein hai adhuri si,
jo tumhe btaani baaki hai,
kuch kisssee hai jaruri se,
jo tumhe btaane baaki hai,
sath chalti hai ye raahe magar,
tumhare saath ki jo chaahat hai,
wo mujh mein kahi baaki hai,
tumhare hone ki jo khushi hai dil mein,
wo tumhe jataani baaki hai,
manzil hai pass mere, par agar saathi tum ho
toh ye raahe abhi baaki hai,
dil mein jo pyaar hai, usse tumhe btaana baaki hai,
meri ye jo musakaan hai, uska raaz hoo tum,
ye bhi btaana baaki hai,
pyaar ka ehsaas ho tum, zindagi ka saar ho tum,
meri har pyaas ho tum, ye bhi btaana baaki hai,
jo pyaar hai tumse, wo bhi jataana baaki hai...