Jisko mene apna rah-guzar kiya hua hai,
usne mere haal ko be-khabar kiya hua hai,
yun hi us paar nahi pahucha kashtiyo ke sahare,
aadha dariya paar tair-kar kiya hua hai,
imtehaan me uska or mera jawab ek-sa tha,
usne bhi shayad mera dekh kar kiya hua hai,
wo bas ek-do ghante hi baat karti hai mujh se,
usne baato ka silsila mukhtasar kiya hua hai,
na baat sunta hai JAMI na jaan chidakta hai,
tumne bhi kese shakhs ko humsafar kiya hua hai...
