Garibi ka aisa bhi manjar hota hai,
baccha bina kuch khaaye bhi sota hai,
aankhon mein sirf dard dikhayi deta hai,
par dil hi dil mein vo rota hai,,
uske paas koi khilauna aa jaaye,
to wo ye nahi kahta ki chota hai,
aye khuda aisa kyu banaaya tune,
Is bachapane ke saath kyu itna samjhauta hai...
