Tumhare chehre ki baat alag hai tumhari aankho ki baat alag hai,
sath me jo mil ke dekhe humare khwabon ki baat alag hai,
logo ka mene rona dekha logo ka mene sisakna dekha,
lekin jo tum bharti ho aanhen tumhari aanhon ki baat alag hai,
sukoon mujhe dono taraf hai idhar rahu ya udhar rahu,
goud Maa ki apni jagah hai tumhari baahon ki baat alag hai,
mene aksar suna yahi hai JAMI aksar dekha yahi hai,
qatl karte hain chaku lekin teri nigahon ki baat alag hai...
