Teri yadon ko zamane se bacha kar rakhunga,
teri tasveer zamane se chupa kar rakhunga,
kabhi hone hi nahi dunga shaq usko mujh pe,
apne dil ki use har baat bata kar rakhunga,
mehsoos hoti hai mujhe tanhai aksar rato Me,
milne aao kabhi seene se laga kar rakhunga,
kabhi bikharne nahi dunga tere badan ki khushbu,
samet lunga ise baaho me basa kar rakhunga,
sach bolta hu to log kehte hain bohat bolta hai,
taras jaoge jab apne honth sila kar rakhunga,
suna hai uski saheli se mohabbat use bhi hai JAMI,
bol uthegi jab me aankh se aankh Mila kar rakhunga...
