mere dil me ek bada toofan pada hai, aa jana.
aur fir tumse milne ka armaan pada hai, aa jana.
badi shikayat thi na tujhko aate hue koi dekhe na,
shehar ka har ek rasta ab sunsaan pada hai, aa jana,
mere lab bhi khushk hue aankhe bhi ab laal hui,
waqt tumhare aane ka aan pada hai, aa jana,
mene tumko qaid kiya tha apne jism ke seene me,
kitna soona dekho na zindaan pada hai, aa jana,
tum humesha milne ka pata puchte rehte the,
khali mere dil ka hee maidaan pada hai, aa jana,
panap chuke hain sannate lag chuke hain jaale bhi
mere dil me ghar tera viraan pada hai, aa jana,
kaali aankhe, gore gaal, zulf ghani or geele baal,
teri banawat par JAMI qurbaan pada hai, aa jana,